Thursday, January 5, 2012

Anjaan Safar


Akele hum the, akela tha har rasta...
Hum chalte jarahe the yun hi andheron me,
kadmo ke nishaan bhi na chuye.
Parchayin ne hamari,adat badal di.
Raas na aane laga kisi ka bhi haath.
Khud me hone lage gum phir se,
ya hai ye kuch pagalpan ki khumari?
Simat gai khushi band kamre me man ke,
muskurahaton ne bhoola ghar apna.
Chale jarahe the thukraye hue yun hi,
ke koi apna andheron sa dikha.
Chor aae the jinhe yaadon me peeche,
vo hi khushi aur sath ka hamraaz bana.
Ek pal na socha phir kya hai vo sama,
gale se laga lie use,vo roya tha kitna.
Vada kia khud se,ke kabhi usse,
jisme mere dukhon ka aks tha;na churayenge hath apna,na mahsoos hone denge vo jo mujhpe tha beeta.
Sab kuch jo luta rahe the uspe;jise na tha hamare hone ka bhi pata,
barsa dia uspe jo bas isi me khush tha ke ham hain...
Dia use jo usne tha khoya aur hamne paya vo maksad gahra.
Aane laga tha yakin,
ke hame banaya gaya tha dusron ke hi liye,
jisme the mera har pal haseen.
Jo chala jaraha tha andheron me khoya hua,
vo hi bana dusron ki raahon ki roshni.
Vo dhoond raha tha khud ke liye paron ka aasra;
Jab zanjeeron me ashkon se doobi ankhon ne yaad dilaya,
ordhe hue taer raha tha vo hi;Khuda ki rahmat un paron ki zimmedari.

Dhoondte hue chale jo aage apne jese khushnaseebon ko,
takra gaye ek ayeene se;jese mera aks ho.
Vo hai aatmik aur duniya ki samajh rakhne wala,
pehchana use ese jese abhi nahi par sadiyon se sath piya ho apni dosti ka pyala.
kaha usne 'main kahin na jaunga kabhi.'
Bhar gayin phir ankhen jab yaad agae jaanewale sabhi.
Kahta hai har koi yun pehle yahan,
bol ke chala jaata hai zaroorat nahi tumhari mujhe; hai mere paas sara jahaan.
Najaane kyun lekin phir kia yakeen,
us aks se dost par;
magar en lafzon pe nahin.
Ye lafz hamesha dhokha dejaate,
cheen ke mere dil se vo sathi lejaate...
Dar lagta hai ensaanon se mujhe,
ye vaayeda kar ke jannat tak sath ka;mujhe dozak chor jaate.
Phir taer rahen hain magar;paron ka abhishek lie,
saath ek aur paron ki rehmat wale ke...
Dosti ke nazraane ka phir jokhim liye,
bas kuch hi to aur lamhe bache hain;unke sath guzaarne ke...

No comments:

Post a Comment